masrūf-e-ġham  haiñ  kaun-o-makāñ  jāgte  raho
ḳhvāboñ  se  uTh  rahā  hai  dhuāñ  jāgte  raho
haiñ  shaam  ke  nasīb  meñ  taare  na  āsmāñ
ruk  sā  gayā  hai  qalb-e-jahāñ  jāgte  raho
dil  meñ  ḳhayāl  hai  na  nazar  meñ  savāl  hai
baaqī  nahīñ  hai  koī  nishāñ  jāgte  raho
chāñd  aur  sitāre  maañd  haiñ  sūraj  bhī  zard  zard
phīkī  paḌī  hai  kāhkashāñ  jāgte  raho
puujā  ke  phuul  suukh  ga.e  intizār  meñ
soyā  huā  hai  shahr-e-butāñ  jāgte  raho