sarf  chehra  hī  nazar  aatā  hai  ā.īne  meñ
aks-e-ā.īna  nahīñ  dikhtā  hai  ā.īne  meñ
silsila  yaad  kā  jab  zehn  meñ  jaag  uThtā  hai
ek  dariyā  sā  umaD  aatā  hai  ā.īne  meñ
apnī  āñkhoñ  ko  kabhī  ġhaur  se  jab  dekhtā  huuñ
nuur  chehra  tirā  jaag  uThtā  hai  ā.īne  meñ
rote  rote  jau  kabhī  paḌtī  hai  us  samt  nazar
koī  namnāk  diyā  jaltā  hai  ā.īne  meñ
kabhī  aisā  bhī  huā  hai  ki  shab-e-furqat  meñ
aks  ubhar  kar  tirā  kho  jaatā  hai  ā.īne  meñ
taire  chehre  kī  hañsī  dekh  ke  yuuñ  lagtā  hai
phuul  jaise  koī  khil  uThtā  hai  ā.īne  meñ
kyā  ḳhabar  kaisā  lage  aks  jo  bāhar  aa  jaa.e
us  ko  rahne  do  vahīñ  achchhā  hai  ā.īne  meñ
us  meñ  jo  Duubā  kabhī  vo  na  ubharne  paayā
maujzan  ek  siyah  dariyā  hai  ā.īne  meñ
ā.īna-ḳhāna  meñ  kyā  ham  se  chhupā  hai  'māmūn'
ham  ne  kyā  kyā  na  bhalā  dekhā  hai  ā.īne  meñ