aisā  ho  zindagī  meñ  koī  ḳhvāb  hī  na  ho
añdhiyārī  raat  meñ  koī  mahtāb  hī  na  ho
sūkhe  daraḳht  kī  tarah  dariyā  meñ  gir  paḌeñ
marne  ke  vāste  koī  sailāb  hī  na  ho
puujā  kareñ  magar  na  duā  ko  uThā.eñ  haath
shahr-e-havas  meñ  ma.abad-e-arbāb  hī  na  ho
mar  jaa.eñ  is  se  pahle  ki  vo  faisla  kareñ
hāthoñ  meñ  koī  pyāla-e-zahrāb  hī  na  ho
'māmūn'  jal  ke  ḳhaak  meñ  mil  jaa.e  chashm-e-tar
aañsū  bahāne  chashma-e-sardāb  hī  na  ho