ḳhushī  mahsūs  kartā  huuñ  na  ġham  mahsūs  kartā  huuñ
bahr-ālam  tumhārā  hī  karam  mahsūs  kartā  huuñ
alam  apnā  to  duniyā  meñ  sabhī  mahsūs  karte  haiñ
magar  maiñ  huuñ  ki  duniyā  kā  alam  mahsūs  kartā  huuñ
bas  itnī  baat  par  momin  mujhe  kāfir  samajhte  haiñ
dar-e-jānāñ  ko  mehrāb-e-haram  mahsūs  kartā  huuñ
abhī  saaqī  kā  faiz-e-ām  shāyad  nā-mukammal  hai
abhī  kuchh  imtiyāz-e-besh-o-kam  mahsūs  kartā  huuñ
haram  vāloñ  ko  ahl-e-but-kada  kuchh  bhī  samajhte  hoñ
magar  maiñ  but-kade  ko  bhī  haram  mahsūs  kartā  huuñ
mirī  taqdīr  se  pahle  sañvarnā  jin  kā  mushkil  hai
tirī  zulfoñ  meñ  kuchh  aise  bhī  ḳham  mahsūs  kartā  huuñ
'azīz'-e-vārsī  ye  bhī  kisī  kā  mujh  pe  ehsāñ  hai
ki  har  mahfil  meñ  ab  apnā  bharam  mahsūs  kartā  huuñ