Aziz Warsi

aah-o-nala dard-o-gham shor-e-fughan hai aaj bhi

Aziz Warsi

1921-1989
āh-o-nāla dard-o-ġham shor-e-fuġhāñ hai aaj bhī
ya.anī har bulbul asīr-e-bāġhbāñ hai aaj bhī
haa.e tum us ko samajhte ho gulistāñ kā harīf
bijliyoñ kī zad meñ jis kā āshiyāñ hai aaj bhī
naqsh-e-āzādī jabīnoñ se numāyāñ hai magar
dāman-e-dil par ġhulāmī kā nishāñ hai aaj bhī
manzil-e-maqsūd par pahuñche haiñ sab ke qāfile
sirf merī sa.i-e-paiham rā.egāñ hai aaj bhī
us ke afsāne pe koī tabsira be-sūd hai
shādmāñ ho kar bhī jo nā-shādmāñ hai aaj bhī
tū abhī apnī haqīqat se nahīñ hai āshnā
tere qabze meñ inān-e-do-jahāñ hai aaj bhī
maiñ azal hī se samajhtā huuñ tujhe apnā 'azīz'
ye tirī fitrat ki tū dāman-kashāñ hai aaj bhī
Top Urdushayar.com