un  se  karam  kī  rakh  ummīd  un  kī  atā  se  pyaar  kar
ai  dil-e-mubtalā-e-ġham  ġham  ko  bhī  ḳhush-gavār  kar
husn-e-yaqīn-e-āshiqī  itnā  tū  pā.edār  kar
ḳhud  par  bhī  e'timād  rakh  un  par  bhī  e'tibār  kar
dil  meñ  jo  mere  zaḳhm  meñ  un  kā  na  ab  shumār  kar
sīna-e-dāġh-dār  ko  aur  bhī  dāġh-dār  kar
shorish-e-āgahī  ke  saath  husn-e-shu.ūr  shart  hai
zauq-e-junūñ-navāz  ab  aur  na  sharmsār  kar
tujh  se  hanūz  hai  nihāñ  fikr  kā  ik  nayā  jahāñ
azm-o-amal  se  ziist  ke  husn  ko  āshkār  kar
hāsil-e-kā.enāt  the  bas  vahī  zindagī  ke  din
ham  terī  bārgāh  meñ  aa.e  haiñ  jo  guzār  kar
sīna-e-tīrgī  se  hī  phūTegī  ek  mauj-e-nūr
muntazir  hayāt-e-nau  sub.h  kā  intizār  kar
dard-e-hayāt  dard-e-dil  dard-e-firāq  dard-e-ġham
ye  haiñ  matā-e-lā-zavāl  in  se  'azīz'  pyaar  kar