mānūs  fitratan  haiñ  ġham-e-āshiqī  se  ham
phir  kyuuñ  na  tere  naaz  uThā.eñ  ḳhushī  se  ham
jab  se  yaqīñ  huā  hai  vahī  kārsāz  haiñ
ab  apnā  haal  kahte  nahīñ  har  kisī  se  ham
ḳhāmosh  zindagī  bhī  dalīl-e-bahār  hai
ye  dars  le  rahe  haiñ  chaman  meñ  kalī  se  ham
ye  aur  baat  hai  ki  hameñ  kuchh  gila  bhī  hai
munkir  nahīñ  magar  tirī  dariyā-dilī  se  ham
dil-soz-o-dil-ḳharāsh  hai  ye  jāda-e-hayāt
lekin  guzar  rahe  haiñ  baḌī  sādgī  se  ham
ye  fikr  ye  ḳhayāl  'azīz'  aap  kā  na  ho
kuchh  sher  sun  rahe  the  abhī  'vārsī'  se  ham