Malika Naseem

agar chahun jhaTak kar toD dun zanjir-e-tanhai

Malika Naseem

Allahabad, Uttar pradesh, India

1954

agar chāhūñ jhaTak kar toḌ duuñ zanjīr-e-tanhā.ī

maiñ tinkā huuñ magar maujoñ se hai merī shanāsā.ī

sharīk-e-rāh thī jab tak hamārī ābla-pā.ī

na māthe par shikan ubhrī na paañv meñ thakan aa.ī

havā se sub.h-e-nā-āsūdgī achchhā kiyā ne

kitāb-e-zindagī ke kuchh varaq bhī uḌā laa.ī

hazāroñ marhale the fasl-e-gul se chāk-e-dāmāñ tak

ḳhizāñ guzrī to kab guzrī bahār aa.ī to kab aa.ī

'nasīm' ik din vo aa.egā ki mazlūmoñ ke qadmoñ meñ

panāheñ DhūñDhtī hogī sitam-rānoñ dārā.ī

Top Urdushayar.com