aks  ko  phuul  banāne  meñ  guzar  jaatī  hai
zindagī  ā.ina-ḳhāne  meñ  guzar  jaatī  hai
shaam  hotī  hai  to  lagtā  hai  koī  ruuTh  gayā
aur  shab  us  ko  manāne  meñ  guzar  jaatī  hai
har  mohabbat  ke  liye  dil  meñ  alag  ḳhāna  hai
har  mohabbat  usī  ḳhāne  meñ  guzar  jaatī  hai
zindagī  bojh  batātā  thā  batāne  vaalā
ye  to  bas  ek  bahāne  meñ  guzar  jaatī  hai
tū  batā  aañkh  nayā  ḳhvāb  kahāñ  se  dekhe
roz  shab  tujh  ko  bhulāne  meñ  guzar  jaatī  hai
vo  chalā  jaatā  hai  aur  sā.at-e-ruḳhsat  'ashfāq'
jism  kā  bojh  uThāne  meñ  guzar  jaatī  hai