jo  duur  se  hameñ  akasr  ḳhudā  sā  lagtā  hai
vahī  qarīb  se  kuchh  āshnā  sā  lagtā  hai
kabhī  hamārī  nigāhoñ  se  dekh  le  us  ko
phir  us  ke  ba.ad  batā  tujh  ko  kaisā  lagtā  hai
tamām  raat  jale  din  ko  sard-mehr  bane
badan  kā  shahr  bhī  shahr-e-anā  sā  lagtā  hai
vo  us  kī  sahmī  sī  chāhat  jafā  kī  chilman  meñ
vo  bevafā  bhī  hameñ  bā-vafā  sā  lagtā  hai
bikharte  TūTte  in  ziist  ke  makānoñ  meñ
vo  ik  makān  hameñ  ḳhushnumā  sā  lagtā  hai
salīb-o-dār  pe  chaḌh  kar  hue  haiñ  lā-fānī
ye  dast-e-marg  bhī  dast-e-duā  sā  lagtā  hai