shikasta-par  junūñ  ko  āzmā.eñge  nahīñ  kyā
uḌānoñ  ke  liye  par  phaḌphaḌā.eñge  nahīñ  kyā
havā.eñ  mehrbāñ  thiiñ  muntaqim  kyuuñ  ho  ga.ī  haiñ
nigah-varān-e-sāhil  kuchh  batā.eñge  nahīñ  kyā
koī  hañstā  huā  sūraj  pas-e-dīvār-e-tārīk
firozāñ  ho  to  dīvāreñ  girā.eñge  nahīñ  kyā
vahī  pahlī  sī  arzānī  sar-e-bāzār-e-pindār
nazar  aa.e  to  ham  qīmat  baḌhā.eñge  nahīñ  kyā
savād-e-tishnagī  ke  paar  ik  mavvāj  dariyā
ġhazal-ḳhvāñ  ho  to  phir  teshe  uThā.eñge  nahīñ  kyā
badalte  mausamoñ  kī  dhuul  hote  rāstoñ  ko
thake-hāre  musāfir  yaad  ā.eñge  nahīñ  kyā