ġham-e-jahāñ  ko  sharmsār  karne  vaale  kyā  hue
vo  saarī  umr  intizār  karne  vaale  kyā  hue
baham  hue  baġhair  jo  guzar  ga.iiñ  vo  sā.ateñ
vo  ek  ek  pal  shumār  karne  vaale  kyā  hue
duā-e-nīm-shab  kī  rasm  kaise  ḳhatm  ho  ga.ii!
vo  harf-e-jāñ  pe  e'tibār  karne  vaale  kyā  hue
kahāñ  haiñ  vo  jo  dasht-e-ārzū  meñ  ḳhaak  ho  ga.e
vo  lamha-e-abad  shikār  karne  vaale  kyā  hue
talab  ke  sāhiloñ  pe  jaltī  kashtiyāñ  batā.eñgī
shanāvarī  pe  e'tibār  karne  vaale  kyā  hue