azaab  ye  bhī  kisī  aur  par  nahīñ  aayā
ki  ek  umr  chale  aur  ghar  nahīñ  aayā
us  ek  ḳhvāb  kī  hasrat  meñ  jal  bujhīñ  āñkheñ
vo  ek  ḳhvāb  ki  ab  tak  nazar  nahīñ  aayā
kareñ  to  kis  se  kareñ  nā-rasā.iyoñ  kā  gila
safar  tamām  huā  ham-safar  nahīñ  aayā
diloñ  kī  baat  badan  kī  zabāñ  se  kah  dete
ye  chāhte  the  magar  dil  idhar  nahīñ  aayā
ajiib  hī  thā  mire  daur-e-gumrahī  kā  rafīq
bichhaḌ  gayā  to  kabhī  lauT  kar  nahīñ  aayā
harīm-e-lafz-o-ma.ānī  se  nisbateñ  bhī  rahīñ
magar  salīqa-e-arz-e-hunar  nahīñ  aayā