Iftikhar Arif

mera malik jab taufiq arzani karta hai

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
merā mālik jab taufīq arzānī kartā hai
gahre zard zamīn kī rañgat dhānī kartā hai
bujhte hue diye kī lau aur bhīgī aañkh ke biich
koī to hai jo ḳhvāboñ kī nigarānī kartā hai
mālik se aur miTTī se aur maañ se bāġhī shaḳhs
dard ke har mīsāq se rū-gardānī kartā hai
yādoñ se aur ḳhvāboñ se aur ummīdoñ se rabt
ho jaa.e to jiine meñ āsānī kartā hai
kyā jaane kab kis saa.at meñ tab.a ravāñ ho jaa.e
ye dariyā be-mausam bhī tuġhyānī kartā hai
dil pāgal hai roz na.ī nādānī kartā hai
aag meñ aag milātā hai phir paanī kartā hai
Top Urdushayar.com