ġhairoñ  se  dād-e-jaur-o-jafā  lī  ga.ī  to  kyā
ghar  ko  jalā  ke  ḳhaak  uḌā  dī  ga.ī  to  kyā
ġhārat-garī-e-shahr  meñ  shāmil  hai  kaun  kaun
ye  baat  ahl-e-shahr  pe  khul  bhī  ga.ī  to  kyā
ik  ḳhvāb  hī  to  thā  jo  farāmosh  ho  gayā
ik  yaad  hī  to  thī  jo  bhulā  dī  ga.ī  to  kyā
mīsāq-e-aitabār  meñ  thī  ik  vafā  kī  shart
ik  shart  hī  to  thī  jo  uThā  dī  ga.ī  to  kyā
qānūn-e-bāġh-bāni-e-sahra  kī  sarnavisht
likkhī  ga.ī  to  kyā  jo  na  likkhī  ga.ī  to  kyā
is  qahat-o-inhedām-e-rivāyat  ke  ahd  meñ
tālīf  nusḳha-hā-e-vafā  kī  ga.ī  to  kyā
jab  'mīr'  o  'mīrzā'  ke  suḳhan  rā.egāñ  ga.e
ik  be-hunar  kī  baat  na  samjhī  ga.ī  to  kyā