koī  to  phuul  khilā.e  duā  ke  lahje  meñ
ajab  tarah  kī  ghuTan  hai  havā  ke  lahje  meñ
ye  vaqt  kis  kī  ra.ūnat  pe  ḳhaak  Daal  gayā
ye  kaun  bol  rahā  thā  ḳhudā  ke  lahje  meñ
na  jaane  ḳhalq-e-ḳhudā  kaun  se  azaab  meñ  hai
havā.eñ  chīḳh  paḌīñ  iltijā  ke  lahje  meñ
khulā  fareb-e-mohabbat  dikhā.ī  detā  hai
ajab  kamāl  hai  us  bevafā  ke  lahje  meñ
yahī  hai  maslahat-e-jabr-e-ehtiyāt  to  phir
ham  apnā  haal  kaheñge  chhupā  ke  lahje  meñ