sar-e-bām-e-hijr  diyā  bujhā  to  ḳhabar  huī
sar-e-shām  koī  judā  huā  to  ḳhabar  huī
mirā  ḳhush-ḳhirām  balā  kā  tez-ḳhirām  thā
mirī  zindagī  se  chalā  gayā  to  ḳhabar  huī
mire  saare  harf  tamām  harf  azaab  the
mire  kam-suḳhan  ne  suḳhan  kiyā  to  ḳhabar  huī
koī  baat  ban  ke  bigaḌ  ga.ī  to  pata  chalā
mire  bevafā  ne  karam  kiyā  to  ḳhabar  huī
mire  ham-safar  ke  safar  kī  samt  hī  aur  thī
kahīñ  rāsta  koī  gum  huā  to  ḳhabar  huī
mire  qissa-go  ne  kahāñ  kahāñ  se  baḌhā.ī  baat
mujhe  dāstāñ  kā  sirā  milā  to  ḳhabar  huī
na  lahū  kā  mausam-e-rañg-rez  na  dil  na  maiñ
koī  ḳhvāb  thā  ki  bikhar  gayā  to  ḳhabar  huī