Iftikhar Arif

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
ḳhvāb kī tarah bikhar jaane ko jī chāhtā hai
aisī tanhā.ī ki mar jaane ko jī chāhtā hai
ghar kī vahshat se laraztā huuñ magar jaane kyuuñ
shaam hotī hai to ghar jaane ko jī chāhtā hai
Duub jā.ūñ to koī mauj nishāñ tak na batā.e
aisī naddī meñ utar jaane ko jī chāhtā hai
kabhī mil jaa.e to raste kī thakan jaag paḌe
aisī manzil se guzar jaane ko jī chāhtā hai
vahī paimāñ jo kabhī jī ko ḳhush aayā thā bahut
usī paimāñ se mukar jaane ko jī chāhtā hai
Top Urdushayar.com