Iftikhar Arif

ye qarz-e-kaj-kulahi kab talak ada hoga

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940

ye qarz-e-kaj-kulahī kab talak adā hogā

tabāh ho to ga.e haiñ ab aur kyā hogā

yahāñ tak aa.ī hai biphre hue lahū sadā

hamāre shahr meñ kyā kuchh nahīñ huā hogā

ġhubār-e-kūcha-e-va.ada bikhartā jaatā hai

ab aage apne bikharne silsila hogā

sadā lagā.ī to pursān-e-hāl koī na thā

gumān thā ki har ik shaḳhs ham-navā hogā

kabhī kabhī to vo āñkheñ bhī sochtī hoñgī

bichhaḌ ke rañg se ḳhvāboñ haal kyā hogā

huā hai yuuñ bhī ki ik umr apne ghar na ga.e

ye jānte the koī raah dekhtā hogā

abhī to dhund meñ lipTe hue haiñ sab manzar

tum aaoge to ye mausam badal chukā hogā

Top Urdushayar.com