azāb-e-vahshat-e-jāñ  kā  sila  na  māñge  koī
na.e  safar  ke  liye  rāsta  na  māñge  koī
buland  hāthoñ  meñ  zanjīr  Daal  dete  haiñ
ajiib  rasm  chalī  hai  duā  na  māñge  koī
tamām  shahr  mukarram  bas  ek  mujrim  maiñ
so  mere  ba.ad  mirā  ḳhūñ-bahā  na  māñge  koī
koī  to  shahr-e-tazabzub  ke  sākinoñ  se  kahe
na  ho  yaqīn  to  phir  mo.ajiza  na  māñge  koī
azāb-e-gard-e-ḳhizāñ  bhī  na  ho  bahār  bhī  aa.e
is  ehtiyāt  se  ajr-e-vafā  na  māñge  koī