ḳhvāb-e-derīna  se  ruḳhsat  kā  sabab  pūchhte  haiñ
chaliye  pahle  nahīñ  pūchhā  thā  to  ab  pūchhte  haiñ
kaise  ḳhush-tabā  haiñ  is  shahr-e-dil-āzār  ke  log
mauj-e-ḳhūñ  sar  se  guzar  jaatī  hai  tab  pūchhte  haiñ
ahl-e-duniyā  kā  to  kyā  zikr  ki  dīvānoñ  ko
sāhibān-e-dil-e-shorīda  bhī  kab  pūchhte  haiñ
ḳhaak  uḌātī  huī  rāteñ  hoñ  ki  bhīge  hue  din
avval-e-sub.h  ke  ġham  āḳhir-e-shab  pūchhte  haiñ
ek  ham  hī  to  nahīñ  haiñ  jo  uThāte  haiñ  savāl
jitne  haiñ  ḳhāk-basar  shahr  ke  sab  pūchhte  haiñ
yahī  majbūr  yahī  mohr-ba-lab  be-āvāz
pūchhne  par  kabhī  aa.eñ  to  ġhazab  pūchhte  haiñ
karam-e-masnad-o-mimbar  ki  ab  arbāb-e-hakam
zulm  kar  chukte  haiñ  tab  marzī-e-rab  pūchhte  haiñ