Iftikhar Arif

KHalq ne ek manzar nahin dekha bahut dinon se

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940

ḳhalq ne ik manzar nahīñ dekhā bahut dinoñ se

nok-e-sināñ pe sar nahīñ dekhā bahut dinoñ se

patthar pe sar rakh kar sone vaale dekhe

hāthoñ meñ patthar nahīñ dekhā bahut dinoñ se

qātil jis zad se ḳhud mahfūz rah sake

aisā koī ḳhanjar nahīñ dekhā bahut dinoñ se

apne ḳhemoñ par jo shab-ḳhūn na maare

aisā koī lashkar nahīñ dekhā bahut dinoñ se

shāḳh-e-burīda khulī fazā se pūchh rahī hai

koī shikasta-par nahīñ dekhā bahut dinoñ se

zindāñ ahl-e-junūñ ko shāyad raas aa gayā

dīvāroñ meñ dar nahīñ dekhā bahut dinoñ se

ḳhaak uḌāne vaale logoñ bastī meñ

koī sūrat-gar nahīñ dekhā bahut dinoñ se

sachche sā.īñ hamāre 'hazrat-mehr-alī-shāh'

baabā ham ne ghar nahīñ dekhā bahut dinoñ se

Top Urdushayar.com