hijr  kī  dhuup  meñ  chhāñv  jaisī  bāteñ  karte  haiñ
aañsū  bhī  to  maaoñ  jaisī  bāteñ  karte  haiñ
rasta  dekhne  vaalī  āñkhoñ  ke  anhone-ḳhvāb
pyaas  meñ  bhī  dariyāoñ  jaisī  bāteñ  karte  haiñ
ḳhud  ko  bikharte  dekhte  haiñ  kuchh  kar  nahīñ  paate  haiñ
phir  bhī  log  ḳhudāoñ  jaisī  bāteñ  karte  haiñ
ek  zarā  sī  jot  ke  bal  par  añdhiyāroñ  se  bair
pāgal  diye  havāoñ  jaisī  bāteñ  karte  haiñ
rañg  se  ḳhushbuoñ  kā  naatā  TūTtā  jaatā  hai
phuul  se  log  ḳhizāoñ  jaisī  bāteñ  karte  haiñ
ham  ne  chup  rahne  kā  ahd  kyā  hai  aur  kam-zarf
ham  se  suḳhan-ārāoñ  jaisī  bāteñ  karte  haiñ