fazā  meñ  vahshat-e-sañg-o-sināñ  ke  hote  hue
qalam  hai  raqs  meñ  āshob-e-jāñ  ke  hote  hue
hamīñ  meñ  rahte  haiñ  vo  log  bhī  ki  jin  ke  sabab
zamīñ  buland  huī  āsmāñ  ke  hote  hue
ba-zid  hai  dil  ki  na.e  rāste  nikāle  jaa.eñ
nishān-e-rah-guzar-e-raftagāñ  ke  hote  hue
jahān-e-ḳhair  meñ  ik  hujra-e-qanā.at-o-sabr
ḳhudā  kare  ki  rahe  jism  o  jaañ  ke  hote  hue
qadam  qadam  pe  dil-e-ḳhush-gumāñ  ne  khaa.ī  maat
ravish  ravish  nigah-e-mehrbāñ  ke  hote  hue
maiñ  ek  silsila-e-ātishīñ  meñ  bai.at  thā
so  ḳhaak  ho  gayā  nām-o-nishāñ  ke  hote  hue
maiñ  chup  rahā  ki  vazāhat  se  baat  baḌh  jaatī
hazār  sheva-e-husn-e-bayāñ  ke  hote  hue
ulajh  rahī  thī  havāoñ  se  ek  kashtī-e-harf
paḌī  hai  ret  pe  āb-e-ravāñ  ke  hote  hue
bas  ek  ḳhvāb  kī  sūrat  kahīñ  hai  ghar  merā
makāñ  ke  hote  hue  lā-makāñ  ke  hote  hue
duā  ko  haat  uThāte  hue  laraztā  huuñ
kabhī  duā  nahīñ  māñgī  thī  maañ  ke  hote  hue