suḳhan-e-haq  ko  fazīlat  nahīñ  milne  vaalī
sabr  par  dād-e-shujā.at  nahīñ  milne  vaalī
vaqt-e-mālūm  kī  dahshat  se  laraztā  huā  dil
Duubā  jaatā  hai  ki  mohlat  nahīñ  milne  vaalī
zindagī  nazr  guzārī  to  milī  chādar-e-ḳhāk
is  se  kam  par  to  ye  ne.amat  nahīñ  milne  vaalī
raas  aane  lagī  duniyā  to  kahā  dil  ne  ki  jā
ab  tujhe  dard  kī  daulat  nahīñ  milne  vaalī
havas-e-luqma-e-tar  khā  ga.ī  lahje  kā  jalāl
ab  kisī  harf  ko  hurmat  nahīñ  milne  vaalī
ghar  se  nikle  hue  beToñ  kā  muqaddar  ma.alūm
maañ  ke  qadmoñ  meñ  bhī  jannat  nahīñ  milne  vaalī
zindagī  bhar  kī  kamā.ī  yahī  misre  do-chār
is  kamā.ī  pe  to  izzat  nahīñ  milne  vaalī