Iftikhar Arif

dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
dukh aur tarah ke haiñ duā aur tarah kī
aur dāman-e-qātil kī havā aur tarah kī
dīvār pe likkhī huī tahrīr hai kuchh aur
detī hai ḳhabar ḳhalq-e-ḳhudā aur tarah kī
kis daam uThā.eñge ḳharīdār ki is baar
bāzār meñ hai jins-e-vafā aur tarah kī
bas aur koī din ki zarā vaqt Thahar jaa.e
sahrāoñ se aa.egī sadā aur tarah kī
ham kū-e-malāmat se nikal aa.e to ham ko
raas aa.ī na phir āb-o-havā aur tarah kī
Top Urdushayar.com