Noorul Ain Qaisar Qasmi

KHizan ki zad pe tha dushman ki bhi nigah mein tha

Noorul Ain Qaisar Qasmi

ḳhizāñ kī zad pe thā dushman kī bhī nigāh meñ thā
vo sāya-dār shajar jo hamārī raah meñ thā
zamāna yaad bhī kartā to kis tarah ham ko
hamārā naam faqīroñ meñ thā na shaah meñ thā
bulandiyoñ se girā to zamīn bhī na milī
vajūd apnā sambhāle hue vo chaah meñ thā
jinheñ ġhurūr havāoñ pe thā vo ḳhaar hue
vo sar-buland rahā jo tirī panāh meñ thā
mire ḳhilāf huā hai jo faisla 'qaisar'
mirā harīf bhī shāmil mire gavāh meñ thā
Top Urdushayar.com