kyuuñ  aañkh  se  surḳhī  ab  chhalkī  huī  lagtī  hai
ye  niiñd  kī  raanī  bhī  rūThī  huī  lagtī  hai
yādoñ  kā  tasalsul  hai  ghanghor  judā.ī  hai
sāvan  kī  tarah  ye  bhī  chhā.ī  huī  lagtī  hai
sūjhe  na  mudāvā  kyuuñ  ḳhud  mere  masīhā  ko
zaḳhmoñ  kī  tarah  chāhat  ristī  huī  lagtī  hai
āvāz  ye  kis  ne  dī  phir  yaad  ye  kaun  aayā
be-tābī-e-dil  kuchh  kuchh  sambhalī  huī  lagtī  hai
guzrī  hai  gulāboñ  ko  dāman  meñ  ḳhizāñ  bhar  ke
har  shāḳh-e-chaman  lekin  mahkī  huī  lagtī  hai
bāzār-e-mohabbat  ke  tājir  haiñ  sitam-pesha
ai  'bāno'  tirī  qīmat  lagtī  huī  lagtī  hai