chāhā  hai  ajab  Dhañg  se  chāhat  bhī  ajab  hai
mahbūb  ajab  hai  ye  mohabbat  bhī  ajab  hai
pallū  mirā  thāmā  hai  ka.ī  baar  ḳhirad  ne
par  in  dinoñ  jazboñ  kī  baġhāvat  bhī  ajab  hai
jakḌā  hai  tirī  yaad  ne  afkār  ko  mere
hamdam  tire  jazbāt  meñ  shiddat  bhī  ajab  hai
qurbat  ke  hasīñ  phuul  mirī  ruuh  pe  vaare
kyā  ḳhuub  saḳhī  hai  ye  saḳhāvat  bhī  ajab  hai
ik  āriz-e-gul  par  jamā  shabnam  sā  vo  qatra
kirnoñ  se  zarā  qabl  rifāqat  bhī  ajab  hai
lahja  tirā  dhakkā  huā  lagtā  hai  ġhazab  kā
ġhusse-bhare  lahje  meñ  harārat  bhī  ajab  hai
chehra  tirā  taptā  huā  dikhtā  hai  tapish  se
mastī-bhare  nainoñ  meñ  sharārat  bhī  ajab  hai
baazī  kabhī  haarī  nahīñ  zālim  ne  anā  kī
chāleñ  bhī  ajab  us  kī  siyāsat  bhī  ajab  hai
ḳhud  qaid-e-vafā  kaaT  ke  dī  us  ko  rihā.ī
'bāno'  ye  tire  dil  kī  adālat  bhī  ajab  hai