ḳhabar  hai  ki  aayā  gulāboñ  kā  mausam
guloñ  ke  badan  par  hai  kāñToñ  kā  mausam
ḳhudā  jaane  is  rut  meñ  kyā  gul  khilā.e
gulistāñ  kā  joban  ye  kaliyoñ  kā  mausam
laboñ  kī  sharārat  nazar  se  ishārat
dam-e-vasl  kaisā  hayāoñ  kā  mausam
ye  daur-e-mohabbat  bhī  kaisā  ajab  hai
huuñ  āñkhoñ  meñ  bāteñ  ishāroñ  kā  mausam
havā.e  judā.ī  ye  kaisī  chalī  phir
ġhamoñ  kī  fazā  meñ  azāboñ  kā  mausam
jo  pyāse  haiñ  'bāno'  tum  un  ko  sadā  do
ki  sahrā  meñ  utrā  hai  chashmoñ  kā  mausam