titlī  qafas  meñ  qaid-e-sabā  DhūñDhtī  rahī
maiñ  shahr-e-nañg  meñ  bhī  ridā  DhūñDhtī  rahī
vo  titliyoñ  meñ  mast  bahut  mutma.in  sā  thā
jis  ko  chaman  meñ  merī  sadā  DhūñDhtī  rahī
rut  kī  tarah  mizāj  badal  kar  chalā  gayā
vo  bevafā  thā  us  meñ  vafā  DhūñDhtī  rahī
taḳht-e-munāfiqat  pe  vahī  hukmarān  thā
bahr-e-ḳhulūs  jis  ko  sadā  DhūñDhtī  rahī
josh-e-junūñ  ke  haath  jise  daan  kar  chukī
phir  maiñ  zarūratan  vo  anā  DhūñDhtī  rahī
dil  par  lage  jo  zaḳhm  kahāñ  mundamil  hue
maiñ  shahr  shahr  phirtī  davā  DhūñDhtī  rahī
bastī  meñ  ek  bhī  na  vafādār  mil  sakā
maiñ  dar-ba-dar  bhaTaktī  vafā  DhūñDhtī  rahī
sail-e-balā  bhañvar  meñ  jahāñ  chhoḌ  kar  gayā
maiñ  nāḳhudā  ke  saath  ḳhudā  DhūñDhtī  rahī
dīvār-e-dil  se  merī  churā  ke  vo  le  gayā
jagmag  sī  raushnī  vo  diyā  DhūñDhtī  rahī
merī  hatheliyoñ  pe  rache  zaḳhm  zaḳhm  rañg
'bāno'  maiñ  in  meñ  bū-e-hinā  DhūñDhtī  rahī