Saima Nasim Bano

sulagti nazron ka KHwab ho tum

Saima Nasim Bano

sulagtī nazroñ kā ḳhvāb ho tum
mohabbatoñ kā shabāb ho tum
samajh na paa.ī jise kabhī maiñ
kitāb-e-dil kā vo baab ho tum
kaho to juz daan meñ chhupā luuñ
khulī huī ik kitāb ho tum
bichhe the rāhoñ meñ phuul kitne
jo bhā gayā vo gulāb ho tum
burā kahe tum ko laakh duniyā
mire to ālī-janāb ho tum
nahīñ hai bas maiñ tumheñ bhulānā
ajab tarah kā azaab ho tum
lagā ki manzil tumhī ho lekin
nazar kā merī sarāb ho tum
vafā se aarī sahī mizājan
vafā kā merī javāb ho tum
ka.ī savāloñ meñ tum ghire ho
magar bahut lā-javāb ho tum
ulaT ke rakh dī hai merī duniyā
hayāt kā inqalāb ho tum
maiñ raag rañg aur raqs jaisī
ġhazal tarannum rabāb ho tum
ye nashsha TuuTā na zindagī-bhar
bahut purānī sharāb ho tum
ai jaan 'bāno' ye jaan lo ab
ba-zāt-e-ḳhud intiḳhāb ho tum
Top Urdushayar.com