sulagtī  nazroñ  kā  ḳhvāb  ho  tum
mohabbatoñ  kā  shabāb  ho  tum
samajh  na  paa.ī  jise  kabhī  maiñ
kitāb-e-dil  kā  vo  baab  ho  tum
kaho  to  juz  daan  meñ  chhupā  luuñ
khulī  huī  ik  kitāb  ho  tum
bichhe  the  rāhoñ  meñ  phuul  kitne
jo  bhā  gayā  vo  gulāb  ho  tum
burā  kahe  tum  ko  laakh  duniyā
mire  to  ālī-janāb  ho  tum
nahīñ  hai  bas  maiñ  tumheñ  bhulānā
ajab  tarah  kā  azaab  ho  tum
lagā  ki  manzil  tumhī  ho  lekin
nazar  kā  merī  sarāb  ho  tum
vafā  se  aarī  sahī  mizājan
vafā  kā  merī  javāb  ho  tum
ka.ī  savāloñ  meñ  tum  ghire  ho
magar  bahut  lā-javāb  ho  tum
ulaT  ke  rakh  dī  hai  merī  duniyā
hayāt  kā  inqalāb  ho  tum
maiñ  raag  rañg  aur  raqs  jaisī
ġhazal  tarannum  rabāb  ho  tum
ye  nashsha  TuuTā  na  zindagī-bhar
bahut  purānī  sharāb  ho  tum
ai  jaan  'bāno'  ye  jaan  lo  ab
ba-zāt-e-ḳhud  intiḳhāb  ho  tum