Saima Nasim Bano

wo mere qalb-o-ruh ko shadab kar gaya

Saima Nasim Bano

vo mere qalb-o-rūh ko shādāb kar gayā
phir is tarah gayā mujhe betāb kar gayā
kājal bhī niiñd kā mirī āñkhoñ se le uḌā
ḳhvāboñ meñ aa ke vo mujhe be-ḳhvāb kar gayā
us ne to iztirāb ke ma.anī sujhā diye
aisī nigāh kī mujhe betāb kar gayā
jins-e-girāñ samajh ke nahīñ dekhtā koī
mujh ko vo ek jauhar-e-nāyāb kar gayā
jauf-e-sadaf samajh ke paḌī abr kī nazar
thī sat.h-e-āb par vo tah-e-āb kar gayā
baaqī rahe na bām-o-darīche na hī fasīl
kyā haal mere dil kā ye sailāb kar gayā
sāhir thā devtā thā koī but-tarāsh thā
patthar thī ek 'bāno' vo sīmāb kar gayā
Top Urdushayar.com