vo  mere  qalb-o-rūh  ko  shādāb  kar  gayā
phir  is  tarah  gayā  mujhe  betāb  kar  gayā
kājal  bhī  niiñd  kā  mirī  āñkhoñ  se  le  uḌā
ḳhvāboñ  meñ  aa  ke  vo  mujhe  be-ḳhvāb  kar  gayā
us  ne  to  iztirāb  ke  ma.anī  sujhā  diye
aisī  nigāh  kī  mujhe  betāb  kar  gayā
jins-e-girāñ  samajh  ke  nahīñ  dekhtā  koī
mujh  ko  vo  ek  jauhar-e-nāyāb  kar  gayā
jauf-e-sadaf  samajh  ke  paḌī  abr  kī  nazar
thī  sat.h-e-āb  par  vo  tah-e-āb  kar  gayā
baaqī  rahe  na  bām-o-darīche  na  hī  fasīl
kyā  haal  mere  dil  kā  ye  sailāb  kar  gayā
sāhir  thā  devtā  thā  koī  but-tarāsh  thā
patthar  thī  ek  'bāno'  vo  sīmāb  kar  gayā