aise  us  haath  se  gire  ham  log
TūTte  TūTte  bache  ham  log
apnā  qissa  sunā  rahā  hai  koī
aur  dīvār  ke  bane  ham  log
vasl  ke  bhed  kholtī  miTTī
chādareñ  jhāḌte  hue  ham  log
us  kabūtar  ne  apnī  marzī  kī
sīTiyāñ  mārte  rahe  ham  log
pūchhne  par  koī  nahīñ  bolā
kaise  darvāza  kholte  ham  log
hāfize  ke  liye  davā  khaa.ī
aur  bhī  bhūlne  lage  ham  log
ain  mumkin  thā  lauT  aatā  vo
us  ke  pīchhe  nahīñ  ga.e  ham  log