Gulzar Dehlvi

ab to sahra mein rahenge chal ke diwanon ke sath

Gulzar Dehlvi

1926
ab to sahrā meñ raheñge chal ke dīvānoñ ke saath
dahr meñ mushkil huā jiinā jo farzānoñ ke saath
ḳhatm ho jā.eñge qisse kal ye dīvānoñ ke saath
phir inheñ dohrāoge tum kitne unvānoñ ke saath
bazm meñ ham ko bulā kar aap uTh kar chal diye
kyā sulūk-e-nāravā jaa.ez hai mehmānoñ ke saath
nafrateñ phailā rahe haiñ kaisī shaiḳh-o-barahman
kyā shumār in kā kareñge aap insānoñ ke saath
un kī āñkhoñ kī gulābī se jo ham maḳhmūr haiñ
ik ta.alluq hai qadīmī ham ko paimānoñ ke saath
har taraf kū-e-butāñ meñ hasratoñ kā hai hujūm
ek dil laa.e the ham to apnā armānoñ ke saath
kal talak dānāoñ kī sohbat meñ the sab ke imaam
aaj kaise sust haiñ yuuñ shaiḳh nā-dānoñ ke saath
un kī āñkheñ ik taraf ye jām-o-mīnā ik taraf
kis tarah gardish meñ haiñ paimāne paimānoñ ke saath
āshiqoñ ke dil meñ shab fānūs raushan ho ga.e
sham.a kā jiinā hai lāzim apne parvānoñ ke saath
haif gulzār-e-jahāñ meñ gul yagāne ho ga.e
lahlahā kar ab rahegā sabza begānoñ ke saath
Top Urdushayar.com