pahle  to  dām-e-zulf  meñ  uljhā  liyā  mujhe
bhūle  se  phir  kabhī  na  dilāsā  diyā  mujhe
kyā  dardnāk  manzar-e-kashtī  thā  ruud  meñ
maiñ  nā-ḳhudā  ko  dekh  rahā  thā  ḳhudā  mujhe
baiThā  huā  hai  rashk-e-masīhā  mire  qarīb
kas  bebasī  se  dekh  rahī  hai  qazā  mujhe
un  kā  bayān  merī  zabāñ  par  jo  aa  gayā
lahje  ne  un  ke  kar  diyā  kyā  ḳhush-navā  mujhe
jin  ko  rahī  sadā  mire  marne  kī  aarzū
jiine  kī  de  rahe  haiñ  vahī  ab  duā  mujhe
jaane  kā  vaqt  aayā  to  aa.ī  sadā-e-haq
muddat  se  aarzū  thī  mile  ham-navā  mujhe
har  bām-o-dar  se  ek  ishāra  hai  roz-o-shab
ne  maiñ  vafā  ko  chhoḌ  sakā  ne  vafā  mujhe
duniyā  ne  kitne  mujh  ko  dikhā.e  haiñ  sabz  baaġh
un  se  na  koī  kar  sakā  lekin  judā  mujhe
ḳhushbū  se  kis  kī  mahak  rahe  haiñ  mashām-e-jāñ
dāman  se  de  rahā  hai  koī  to  havā  mujhe
tasvīr  us  ke  haath  meñ  lab  par  mirī  ġhazal
dekhā  na  ek  aañkh  na  jis  ne  sunā  mujhe
fard-e-amal  meñ  merī  hoñ  shāmil  sab  un  ke  jaur
un  ke  kiye  kī  shauq  se  diije  sazā  mujhe
merī  vafā  kā  un  ko  mile  hashr  meñ  sila
mil  jaa.eñ  un  ke  naam  ke  jaur-o-jafā  mujhe
har  roz  mujh  ko  apnā  badalnā  paḌā  javāb
roz  ik  sabaq  paḌhātā  hai  qāsid  nayā  mujhe
dekhā  tumhārī  shakl  meñ  husn-e-azal  kī  zau
sajda  tumhāre  dar  pe  huā  hai  ravā  mujhe
jhoñkā  koī  nasīm  kā  'gulzār'-e-nāz  meñ
un  kā  payām  kaash  sunā.e  sabā  mujhe