Gulzar Dehlvi

maqsad-e-husn hai kya chashm-e-basirat ke siwa

Gulzar Dehlvi

1926
maqsad-e-husn hai kyā chashm-e-basīrat ke sivā
vaj.h-e-taḳhlīq-e-bashar kyā hai mohabbat ke sivā
ḳhūn-e-dil thūkte phirte haiñ jahāñ meñ shā.ir
kyā milā shahr-e-suḳhan meñ unheñ shohrat ke sivā
aaj bhī ilm-o-fan-o-sher-o-adab haiñ pāmāl
bā-kamāloñ ko milā kuchh na ihānat ke sivā
haath meñ jin ke ḳhushāmad kā hai gadlā kashkol
un ko e.azāz bhī mil jā.eñge izzat ke sivā
raat din rañj hai is baat kā sab ko ḳhāliq
arsa-e-hashr meñ kyā laa.eñ nadāmat ke sivā
ye mashīnoñ kī chakā-chauñd ye daur-e-ālāt
is meñ har chiiz muqaddar hai muravvat ke sivā
ġhota-zan ham rahe kasrat ke samundar meñ fuzūl
kaun ye pyaas bujhā.e tirī vahdat ke sivā
kyā zamāne meñ diyā tū ne aqīdat kā ma.aal
ham ko ranj-o-ġham-o-andoh-o-musībat ke sivā
ham jo apnā.eñ zamāne meñ tavakkul yārab
baab khul jā.eñge ham par tirī rahmat ke sivā
jab utartī hoñ sar-e-arsh se āyāt-e-junūñ
kaun ho ḳhāliq-e-ash.ār mashiyyat ke sivā
kitne hātim mile 'gulzār' zamāne meñ hameñ
vo ki har chiiz ke vāsif the saḳhāvat ke sivā
Top Urdushayar.com