maqsad-e-husn  hai  kyā  chashm-e-basīrat  ke  sivā
vaj.h-e-taḳhlīq-e-bashar  kyā  hai  mohabbat  ke  sivā
ḳhūn-e-dil  thūkte  phirte  haiñ  jahāñ  meñ  shā.ir
kyā  milā  shahr-e-suḳhan  meñ  unheñ  shohrat  ke  sivā
aaj  bhī  ilm-o-fan-o-sher-o-adab  haiñ  pāmāl
bā-kamāloñ  ko  milā  kuchh  na  ihānat  ke  sivā
haath  meñ  jin  ke  ḳhushāmad  kā  hai  gadlā  kashkol
un  ko  e.azāz  bhī  mil  jā.eñge  izzat  ke  sivā
raat  din  rañj  hai  is  baat  kā  sab  ko  ḳhāliq
arsa-e-hashr  meñ  kyā  laa.eñ  nadāmat  ke  sivā
ye  mashīnoñ  kī  chakā-chauñd  ye  daur-e-ālāt
is  meñ  har  chiiz  muqaddar  hai  muravvat  ke  sivā
ġhota-zan  ham  rahe  kasrat  ke  samundar  meñ  fuzūl
kaun  ye  pyaas  bujhā.e  tirī  vahdat  ke  sivā
kyā  zamāne  meñ  diyā  tū  ne  aqīdat  kā  ma.aal
ham  ko  ranj-o-ġham-o-andoh-o-musībat  ke  sivā
ham  jo  apnā.eñ  zamāne  meñ  tavakkul  yārab
baab  khul  jā.eñge  ham  par  tirī  rahmat  ke  sivā
jab  utartī  hoñ  sar-e-arsh  se  āyāt-e-junūñ
kaun  ho  ḳhāliq-e-ash.ār  mashiyyat  ke  sivā
kitne  hātim  mile  'gulzār'  zamāne  meñ  hameñ
vo  ki  har  chiiz  ke  vāsif  the  saḳhāvat  ke  sivā