Gulzar Dehlvi

ek kafir-ada ne luT liya

Gulzar Dehlvi

1926

ek kāfir-adā ne luuT liyā

un sharm-o-hayā ne luuT liyā

ik but-e-bevafā ne luuT liyā

mujh ko tere ḳhudā ne luuT liyā

āshnā.ī butoñ se kar baiThe

āshnā-e-jafā ne luuT liyā

ham ye samjhe ki marham-e-ġham hai

dard ban kar davā ne luuT liyā

un ke mast-e-ḳhirām ne maarā

un tarz-e-adā ne luuT liyā

husn-e-yaktā rahzanī tauba

ik fareb-e-navā ne luuT liyā

hosh-o-īmān-o-dīn kyā kahiye

shoḳhī-e-naqsh-e-pā ne luuT liyā

rahbarī thī ki rahzanī tauba

ham ko farmāñ-ravā ne luuT liyā

ek shola-nazar ne qatl kiyā

ek rañgīñ-qabā ne luuT liyā

ham ko ye bhī ḳhabar nahīñ 'gulzār'

kab but-e-bevafā ne luuT liyā

haa.e vo zulf-e-mushk-bū tauba

ham ko bād-e-sabā ne luuT liyā

un ko 'gulzār' maiñ ḳhudā samjhā

mujh ko mere ḳhudā ne luuT liyā

Top Urdushayar.com