lahū  kā  daaġh  na  thā  zaḳhm  kā  nishān  na  thā
vo  mar  chukā  thā  kisī  ko  magar  gumān  na  thā
maiñ  chal  paḌā  thā  kahīñ  ajnabī  dishāoñ  meñ
havā  kā  zor  thā  kashtī  meñ  bādbān  na  thā
maiñ  us  makān  meñ  muddat  se  qaid  thā  ki  jahāñ
koī  zamīn  na  thī  koī  āsamān  na  thā
mirī  shikast  mirī  fat.h  kuchh  nahīñ  ya.anī
vo  hādsa  thā  koī  merā  imtihān  na  thā
tumhāre  daur  meñ  har  aadmī  hai  but  kī  tarah
hamāre  ahd  meñ  patthar  bhī  be-zabān  na  thā
kisī  khañDar  meñ  hī  mujh  ko  diyā  jalānā  paḌā
chamakte  shahr  meñ  merā  koī  makān  na  thā
maiñ  sabz  rañg  kā  chashma  pahan  chukā  thā  'kalīm'
mirī  nigāh  meñ  manzar  lahūluhān  na  thā