Sameer Kabeer

aa ke ek bar mere yar zara dekh to le

Sameer Kabeer

Nagpur, Maharashtra, India

1973
aa ke ik baar mire yaar zarā dekh to le
chārāgar ḳhud bhī hai bīmār zarā dekh to le
din guzartā hai tire hijr meñ thoḌā thoḌā
gardish-e-vaqt kī ye maar zarā dekh to le
qalb-e-vārafta kī har aah bhī sahmī sahmī
dhīmī dhīmī sī hai raftār zarā dekh to le
ab bhī mahfūz haiñ āñkhoñ meñ vo saare manzar
vahī naḳhre vahī takrār zarā dekh to le
na samundar hai na sāhil na koī kashtī hai
kaise utregā vo us paar zarā dekh to le
tum ki har baat pe saḌkoñ pe utar aate ho
zañg-ālūda hai talvār zarā dekh to le
maiñ ki baiThā huuñ tire dar pe savālī ban kar
hoñge kitne hī giraftār zarā dekh to le
ham ki ḳhanjar se bhī do bāteñ kiyā karte haiñ
zaḳhm gahrā hai so talvār zarā dekh to le
Top Urdushayar.com