Hamid Yazdani

ghum rahe hain aangan aangan chand hawa aur main

Hamid Yazdani

ghuum rahe haiñ āñgan āñgan chāñd havā aur maiñ

DhūñD rahe haiñ bichhḌā bachpan chāñd havā aur maiñ

bhūlā-bisrā afsāna haiñ aaj us ke nazdīk

kal tak the jis dil dhaḌkan chāñd havā aur maiñ

ḳhvāboñ se be-nām jazīroñ meñ ghūme sau baar

yādoñ thāme hue dāman chāñd havā aur maiñ

apne ghar meñ haiñ sahrā meñ garm-e-safar

kyūñkar suljhā.eñ ye uljhan chāñd havā aur maiñ

aaj ke daur meñ apnī pahchān huī dushvār

dekh rahe haiñ vaqt darpan chāñd havā aur maiñ

rañg haala ḳhushbū ik jhoñkā kuchh to mile

kab se haiñ āvāra-e-gulshan chāñd havā aur maiñ

parchhā.īñ ke pīchhe bhāge kho.e ḳhalāoñ meñ

nikle aap apne dushman chāñd havā aur maiñ

jaane kis kaun hai manzil phir bhī haiñ ik saath

ghuum rahe haiñ tīnoñ ban ban chāñd havā aur maiñ

uryānī dosh kise deñ apnī hai taqdīr

ḳhud jalā baiThe pairāhan chāñd havā aur maiñ

Top Urdushayar.com