mīnāroñ se uupar niklā dīvāroñ se paar huā
hadd-e-falak chhūne kī dhun meñ ik zarra kohsār huā
chashm-e-basīrat raah kī mish.al azm-e-javāñ patvār huā
sāhil sāhil jashn-e-tarab hai ek musāfir paar huā
dil ke jazbe sāmne aa.e ḳhushbū ḳhvāb dhuāñ ban kar
jitnī dilkash soch thī us kī vaisā hī iz.hār huā
ubhre ehsāsāt ke sūraj yādoñ ke mahtāb khule
ġhazloñ kā dīvān suhāne mausam kā aḳhbār huā
jañgal parbat nadiyāñ jharne yaad raheñge barsoñ tak
is bastī meñ husn hai jitnā pāband-e-ash.ār huā