Akhtar Usman

abhi to par bhi nahin taulta uDan ko main

Akhtar Usman

1969

abhī to par bhī nahīñ taultā uḌaan ko maiñ

bilā-javāz khaTaktā huuñ āsmān ko maiñ

mufāhamat na sikhā dushmanoñ se ai sālār

tirī taraf na kahīñ moḌ duuñ kamān ko maiñ

mirī talab koī chiiz shash-jihat meñ nahīñ

hazār chhān chukā huuñ tirī dukān ko maiñ

nahīñ qubūl mujhe koī bhī na.ī hijrat

kaTā.ūñ kyuuñ kisī balve meñ ḳhāndān ko maiñ

tujhe naḳhīl-e-falak se paTaḳh na duuñ āḳhir

tire samet girā na duuñ machān ko maiñ

ye kā.enāt mire sāmne hai misl-e-bisāt

kahīñ junūñ meñ ulaT duuñ na is jahān ko maiñ

jise pahuñch nahīñ saktā falāsfa shu.ūr

yaqīñ ke saath milātā huuñ us gumān ko maiñ

Top Urdushayar.com