vasf-e-jamāl-e-zauq  hai  ahl-e-nigāh  kā
hairat  kahūñ  ki  shor  kahūñ  vaah  vaah  kā
ahl-e-junūñ  pe  zulm  hai  pābandī-e-rusūm
jaada  hamāre  vāste  kāñTā  hai  raah  kā
rakhtā  hai  talḳh-kām  ġham-e-lazzat-e-jahāñ
kyā  kījiye  ki  lutf  nahīñ  kuchh  gunāh  kā
kyā  kuchh  janāb-e-shaiḳh  kī  niyyat  se  thā  ba.iid
mauqa.a  bhī  duḳht-e-raz  ne  diyā  ho  gunāh  kā
ai  barq  kab  se  ik  nazar-e-garm  ke  liye
ātash-bajāñ  hai  dasht  meñ  tinkā  giyāh  kā
hañgāma-e-hayāt  se  lenā  to  kuchh  nahīñ
haañ  dekhte  chalo  ki  tamāshā  hai  raah  kā
maiñ  hāsil-e-nazar  huuñ  tamannā-e-dīd  meñ
letā  huuñ  kaam  har  bun-e-mū  se  nigāh  kā
'nātiq'  gila-pasand  hai  tū  ġham-jafā-pasand
ai  dād-ḳhvāh  kaam  hai  be-dād-ḳhvāh  kā