iztirāb-e-dil  meñ  aa  jā  kar  davām  aa  hī  gayā
zindagī  ko  ek  hālat  par  qayām  aa  hī  gayā
ittifāqan  is  galī  se  le  baḌhī  umr-e-ravāñ
maiñ  to  samjhā  thā  ki  ab  merā  maqām  aa  hī  gayā
ho  ga.ī  āvāragardī  be-gharī  kī  parda-dār
kaam  jitnā  ham  ko  aatā  thā  vo  kaam  aa  hī  gayā
bandagī-āmoz  bazm-e-zindagī  bechārgī
aadmī  ko  jab  ġharaz  aTkī  salām  aa  hī  gayā
intizām-e-roz-e-ishrat  aur  kar  ai  nā-murād
iid  aatī  hī  rahī  māh-e-siyām  aa  hī  gayā
riñd  jaane  riñd  kā  īmān  jaane  shaġhl-e-riñd
pand-go  ke  muñh  tak  aanā  thā  harām  aa  hī  gayā
ho  gayā  tark-e-talab  kā  naam  ijz-e-hausla
jis  se  ham  Darte  rahe  vo  ittihām  aa  hī  gayā
ab  kaheñ  kis  se  ki  un  se  baat  karnā  hai  gunāh
jab  kalām  aayā  zabāñ  par  lā-kalām  aa  hī  gayā
avval  avval  ḳhuub  dauḌī  kashtī-e-ahl-e-havas
āḳhir  āḳhir  Duub  marne  kā  maqām  aa  hī  gayā
rif.at-e-hastī  ko  pastī  ne  dikhāyā  āsmāñ
jhoñpaḌoñ  tak  ūñche  mahloñ  se  salām  aa  hī  gayā
aa  gayā  hai  ai  falak  zarroñ  ko  ehsās-e-ḳhudī
maiñ  samajhtā  huuñ  ki  vaqt-e-intiqām  aa  hī  gayā
vo  musalsal  ab  kahāñ  tābānī-e-roz-e-nashāt
rah-rav-e-maġhrūr  dekhā  vaqt-e-shām  aa  hī  gayā
hashr  se  achchhā  rahā  ik  fitna-e-mahshar-ḳhirām
phir  tamām  aatā  na  aatā  nā-tamām  aa  hī  gayā
talḳh-kām  afzā.ish-e-shīrīnī-e-ishrat  huī
aate  aate  ho  ke  zahr-ālūd  jaam  aa  hī  gayā
baat  kyā  chhuptī  ki  thā  apnā  judā  tarz-e-kalām
naam  aayā  bhī  na  thā  'nātiq'  ki  naam  aa  hī  gayā