kyuuñ  ḳhayāl-e-rañj-o-rāhat  se  na  hoñ  begāna  ham
jalva-gāh-e-yār  hai  dil  ya.anī  ḳhalvat-ḳhāna  ham
haiñ  kabhī  vaa.iz  kabhī  haiñ  murshid-e-mai-ḳhāna  ham
ghūmte  jaate  haiñ  hasb-e-gardish-e-paimāna  ham
laakh  par  bhārī  haiñ  terī  dast-gīrī  chāhiye
kyuuñ  kisī  pe  baar  hoñ  ai  himmat-e-mardāna  ham
khā.iye  ye  zahr  kab  tak  khaa.e  jaatī  hai  ye  ziist
ai  ajal  kab  tak  raheñge  rahn-e-āb-o-dāna  ham
tū  hameñ  kahtā  hai  dīvāna  to  dīvāne  sahī
pand-go  āḳhir  tujhe  ab  kyā  kaheñ  dīvāna  ham
mudda.ī  dil  ishq  ā.īn-o-adālat  bazm-e-nāz
dīd-bāzī  jurm  mujrim  aañkh  hai  jurmāna  ham
āb-e-ashk-o-ātish-e-shauq-o-havā-e-āh  se
haiñ  vajūd-ārā.ī-e-ḳhākistar-e-parvāna  ham
gum  hai  nām-e-āmirī  ḳhuub  ai  nigāh-e-sāmrī
tere  afsūñ  se  bane  haiñ  zīnat-e-afsāna  ham
vaj.h-e-rusvā.ī  hai  'nātiq'  mastī-e-bazm-e-suḳhan
bāda-paimā  haiñ  ba-jām-e-ġhālib-e-mastāna  ham