kabhī  soz-e-dil  kā  gila  kiyā  kabhī  lab  se  shor-e-fuġhāñ  uThā
koī  ahl-e-zabt  bhalā  buto  use  kyā  kare  jo  dhuāñ  uThā
ye  ḳhudā  kī  shaan  to  dekhiye  ki  ḳhudā  kā  naam  hī  rah  gayā
mujhe  taaza  yād-e-butāñ  huī  jo  haram  se  shor-e-azāñ  uThā
mire  sabr  ne  bhī  ġhazab  kiyā  ki  adū  kī  jaan  pe  ban  ga.ī
ye  kahāñ  kī  choT  kahāñ  lagī  ye  kahāñ  kā  dard  kahāñ  uThā
jo  kabhī  lagī  kī  ḳhabar  sunī  to  ġhazab  kī  choT  yahāñ  lagī
mujhe  soz-e-dil  kā  gumāñ  huā  jo  kisī  ke  ghar  se  dhuāñ  uThā
na  huā  ilāj-e-ġham-e-ḳhudī  kisī  barahman  se  na  shaiḳh  se
mujhe  is  balā  se  bachāne  ko  jo  uThā  to  pīr-e-muġhāñ  uThā
ye  jahān  dām-e-fareb  hai  jo  chale  to  dekh  ke  chal  zarā
jo  tujhe  ḳhayāl  ho  diid  kā  to  samajh  ke  aañkh  yahāñ  uThā
tirī  rāh-e-shauq  meñ  zo.af  se  kahūñ  hāl-e-'nātiq'-e-zār  kyā
ye  vahīñ  uThā  hai  jahāñ  girā  ye  vahīñ  girā  hai  jahāñ  uThā